Hindi Poetry On Love
Source{Google.com.pk}Woh raat dard aur sitam ki raat hogi,
Jis raat rukhsat unki baraat hogi,
Uth jata hu main ye sochkar neend se aksar,
K ek ghair ki baaho me meri sari kayanat hogi
Mom ki tarah pighalti ja rahi h zindagi,
Kyu es tarah hath se fisal rahi h zindagi
Hum tumhe pana chahte hain
Apne dil mein chupana chahte hain,
Per kyu unchahe sadmo se gujar rahi h zindagi,
Har pal dekhna chahti hai ye nigahe tumhe,
Taras rahi h ujalo me machalne ko zindagi,
Na jane kyu beet rahi h andhero me ye zindagi..
Zindagi ke safar ki manzil hai maut,
Milti hai zindagi toh aati hain maut,
Hasna hai zindagi toh rona h maut
Chalna h zindagi to rukna hai maut
Har aashiq ki zindagi ki manzil h maut
Mere dil ke ko dard kisne dekhaa hain,
Mujhe bus khuda ne tadapte dekha hai
Hum tanhayi mein baithe rote hain,
Logo ne hume mahfil me haste dikha h
Jo aansu dil me girte h wo ankho me nahi rehte
Bahut se harf aise hain jo lafzo mein nahi rehte
Kitabo mein likhe jate hai dunya bhar ke afsane
Magar jin mein hakikat ho kitabo me nahi rehte
Paas aakar sabhi door chaley jate hain.
Akeley they hum, akeley hi reh jate hai
Hum apney Dil ka dard kisey dikhaye ,
Marhum lagane wale hi zakhm de jate h
Jab bikhare tut kar toh ehsaas hua
Har kisi se itna dil lagaya nahi karte
Yaha masum chehre bhi loot lete h
Har ek pe yuhi etbaar kiya nahi karte
Koyi aur bhi muntezir hai tera kahi
Ik shakhs ki talab hi kiya nahi karte
Patakho Ki Starting, anar Ki Bochaar,
Suraj Ki Kirane, Apno Ka Pyaar,
Mubarak Ho apko Diwali Ka Tyohaar,
Jivan Mein Ho apki Khushiya Apaar
Happy Deepavali
٠٠••ღ ٠٠••
Parwah nahi chahe zamana kitna b khilaaf ho,
Chalunga sirf usi raah par jo sidhi aur saaf ho
परवाह नहीं चाहे जमाना कितना भी खिलाफ हो,
चलूँगा उसी राह पर जो सीधी और साफ हो…!
Har Pal Sunhare phool Khilte rahe,
Kabhi Na Ho Kaanto Ka Saamna,
Zindagi Aapki Khushiyo Se Bhari Rahe,
Dipawali Par Humaari Yahi Shubkamna
Happy Deepavali
Chalo aaj fir ek deep jalaya jaye
Ruthe huye ko fir manaya jaye
Ponch kar aankho me chipi udasi ko
Jakhmo pe malham lagaya jaye
Pakad lo hath khele fir se,
Mohalle ka chakkar ek lagaya jaye
Bhul jaye gile-shikve sab purane
Aao milkar ye tyohar manaya jaye
Chalo aaj fir ek deep jalaya jaye
Wish you a very Happy Diwali
Bin mehboob kaisi ye diwali,
Mann udaas dil hai khaali,
Tan suna, suni hain raat kaali
Bin mehboob kaisi ye Diwali
Kaise bichaau rah pyaar me,
Kis ka thamu haath,
Bin mehboob mera haath h khaali
Jagmagata apna bhi chehera,
Agar sath mehboob ka hota,
Hoti apni bhi Diwali
“Mujhe itna Niche na girana,
Mere malik ki main pukaru aur
Tum sun naa paao, Aur
Utna upar bhi na uthana ki koi
Pukare aur main sun na paau”
Jab chote the hum to jor se rote the
Jo pasand hota tha us paane ke liye
Aaj bade hai to chupke se rote hain
Jo pasand hain use bhulane ke liye
Mere honton se tere honton ko geela kar du
Tere honto ko mein aur bhi raseela kar du
Tu es kadar pyar kare ke pyar ki inteha ho jaye,
Tere honto ko chus kar tuje or n joshila kar du
Tujhse roo-ba-roo hokar baate karu,
Nigahe milakar wafa ke waade karu,
Thaam kar tera hath bethu tere samne,
Teri haseen surat ke main najare karu,
Sharma kar najro se tera kuch chupke keh jana,
Teri nigahon ke wo ishare samjhoo,
Teri har ek ada par kar doo kayi shayari,
Har lafz mein waafa ke daawe karu,
Sambhale nahi sambhalti ‘jaana’ ye dil ki tadap,
Tu hi bata main kab tak yu aahein bharu..
Mera har pal aaj khoobsurat hain,
Dil mein jo sirf teri hi soorat hain,
Kuch bhi kahe ye duniya gum nahi
Duniya se jyada hume teri jarurat h
Zindagi ka pehla pyaar kon bhulata hain,
Ye phli bar hota h jb koi kisi ko khud se badhkar chahta h…
Uski pasand, uski khwahish me khud ko bhul jata h,
Akele mein uska naam likh likh kar mitata h…
No comments:
Post a Comment